Movie Name:

Ham Dono

Singer(s):

Mohammad Rafi

Music Director(s):

Jaidev

Lyricist(s):

Sahir Ludhianvi


Main zindagi ka saath nibhaata chala gaya
Har fikr ko dhuwein mein udaata chala gaya

Barbaadiyon ka sog manaana fizool tha  (2)
Barbaadiyon ka jashn manaata chala gaya
Main zindagi...

Jo mil gaya ussi ko muqaddar samajh liya  (2)
Jo kho gaya main usko bhoolaata chala gaya
Main zindagi...

Gham aur khushi mein fark na mahsoos ho jahaan  (2)
Main dil ko us muqaam pe laata chala gaya
Main zindagi...